Gardishon K Hein Maray Hoay Na, Dushmanon K Sataye Hoay Hein
Jitnay Bhi Zakhm Hein Meray Dil Per, Doston K Lagaye Hoay Hein
Ishq Ko Roag Maar Datay Hein, Aqal Ko Soag Maar Detay Hein
Aadmi Khud Ba Khud Nahi Marta, Dosray Loag Maar Daitay Hein
Loag Kaanton Say Bach K Chaltay Hein, Hum Nai Phoolon Say Zakhm Khaye Hein
Tum Ko Ghairon Ki Baat Kartay Ho, Hum Nai Apnay Bhi Aazmaye Hein
Kasa_E Deed Lay K Dunya Mein, Mein Nai Deedar Ki Gadaye Ki
Meray Jitnay Bhi Yaar Thay Sub Nai Hasb_E Taufeeq Bewafai Ki
Ay Mast_E Naaz Daikhnay Walo K Dil To Daikh
Pamal Ho Ga'ay Teri Raftaar Daikh Ker
In Aankhon Say Qayamat Ki Nishani Kaun Daikhay Ga
Buth_E Kafir Teri Uth'ti Jawani Kaun Daikhay Ga
Jab Say Dekha Tera Qudd_O-Qamat, Dil Pay Tooti Howi Hai Qayamat
Her Bala Say Rahay Tu Salamat, Din Jawani Kay Aaye Hoay Hein
Qareeb Aur Bhi Aao K Shauq_E Deed Mitay
Sharab Aur Pilao K Kuch Nasha Utray
Apne Dil-E-Sadchak Ko See Sakta Hoon, Mehoom_E Karam Ho K Bhi Ji Sakta Hoon
Mauqof Nahi Jaam Pay Rindii Meri, Saki Tere Ghussay Ko Bhi Pi Sakta Hoon
Aur Day Mujh Ko Day Aur Saqi, Hosh Rehta Hai Thora Sa Baqii
Aaj Talkhi Bhi Hai Intiha Ki, Aaj Wo Bhi Para'ay Hoay Hein
Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay, Ub Hai Ghairoon Mein Dhere
Meri Mehfil Mein Kar K Andhere, Apni Mehfil Saja'ay Hoay Hein
Apnay Haathon Say Khanjar Chala Ker, Kitna Masoom Chehra Bana Ker
Apnay Kaandhon Pay Ab Mairay Qatil, Meri Mayyat Utha'ay Hoay Hein
Mehwashon Ko Wafa Say Kia Matlab, In Butoon Ko Khuda Say Kia Matlab
In Ki Masoom Nazroon Nay Nasir, Loag Pagal Bana'ay Hoay Hein......... !